ye  uzr-e-imtihān-e-jazb-e-dil  kaisā  nikal  aayā
maiñ  ilzām  us  ko  detā  thā  qusūr  apnā  nikal  aayā
na  shādī-marg  huuñ  kyūñkar  hai  muzhda  qatl-e-dushman  kā
ki  ghar  meñ  se  liye  shamshīr  vo  rotā  nikal  aayā
sitam  ai  garmi-e-zabt-e-fuġhān-o-āh  chhātī  par
kabhū  bas  paḌ  gayā  chhālā  kabhū  phoḌā  nikal  aayā
kiyā  zanjīr  mujh  ko  chāra-gar  ne  kin  dinoñ  meñ  jab
adū  kī  qaid  se  vo  shoḳh-e-be-parvā  nikal  aayā
nikal  aayā  agar  aañsū  to  zālim  mat  nikāl  āñkheñ
sunā  ma.azūr  hai  muztar  nikal  aayā  nikal  aayā
hamāre  ḳhūñ-bahā  kā  ġhair  se  da.avā  hai  qātil  ko
ye  bād-e-infisāl  ab  aur  hī  jhagḌā  nikal  aayā
huī  bulbul  sanā-ḳhvān-e-dahān-e-tañg  kis  gul  kī
ki  farvardī  meñ  ġhunche  kā  muñh  itnā  sā  nikal  aayā
koī  tiir  us  kā  dil  meñ  rah  gayā  thā  kyā  ki  āñkhoñ  se
abhī  rone  meñ  ik  paikān  kā  TukḌā  nikal  aayā
dam-e-bismil  ye  kis  ke  ḳhauf  se  ham  pī  ga.e  aañsū
ki  har  zaḳhm-e-badan  se  ḳhuun  kā  dariyā  nikal  aayā
ḳhadañg-e-yār  ke  hamrāh  niklī  jaan  siine  se
yahī  armān  ik  muddat  se  jī  meñ  thā  nikal  aayā
bahut  nāzāñ  hai  tū  ai  qais  par  vahshat  dikhā.ūñgā
kitāboñ  meñ  kabhū  qissa  jo  'momin'  kā  nikal  aayā