Momin Khan Momin

dil qabil-e-mohabbat-e-jaanan nahin raha

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852

dil qābil-e-mohabbat-e-jānāñ nahīñ rahā

vo valvala vo josh vo tuġhiyāñ nahīñ rahā

ThanDā hai garm-joshi-e-afsurdagī se

kaisā asar ki nāla-o-afġhāñ nahīñ rahā

karte haiñ apne zaḳhm-e-jigar ko rafū ham aap

kuchh bhī ḳhayāl-e-jumbish-e-mizhgāñ nahīñ rahā

dil-saḳhtiyoñ se aa.ī tabī.at meñ nāzukī

sabr-o-tahammul-e-qalaq-e-jāñ nahīñ rahā

ġhash haiñ ki be-dimāġh haiñ gul-pairahan namat

az-bas dimāġh-e-itr-e-garebāñ nahīñ rahā

āñkheñ na badleñ shoḳh-nazar kyuuñ ke ab ki maiñ

maftūn-e-lutf-e-nargis-e-fattāñ nahīñ rahā

nākāmiyoñ gaah gila gaah shukr hai

shauq-e-visāl o anduh-e-hijrāñ nahīñ rahā

be-tūda tūda-ḳhāk subuk-dosh ho ga.e

sar par junūn-e-ishq ehsāñ nahīñ rahā

har lahza mehr-jalvoñ se haiñ chashm-poshiyāñ

ā.īna-zār dīda-e-hairāñ nahīñ rahā

phirte haiñ kaise parda-nashīnoñ se muñh chhupā.e

rusvā hue ki ab ġham-e-pinhāñ nahīñ rahā

āseb-e-chashm-e-qahr-e-parī-tal.atāñ nahīñ

ai uns ik nazar ki maiñ insāñ nahīñ rahā

bekārī-e-umīd se fursat hai raat din

vo kārobār-e-hasrat-o-hirmāñ nahīñ rahā

be-sair-e-dasht-o-bādiya lagne lagā hai

aur is ḳharāb ghar meñ ki vīrāñ nahīñ rahā

kyā talḳh-kāmiyoñ ne lab-e-zaḳhm diye

vo shor-e-ishtiyāq-e-namak-dāñ nahīñ rahā

be-e'tibār ho ga.e ham tark-e-ishq se

az-bas ki pās-e-vāda-o-paimāñ nahīñ rahā

niiñd aa.ī hai fasāna-e-gesū-o-zulf se

vahm-o-gumān-e-ḳhvāb-e-pareshāñ nahīñ rahā

kis kaam ke rahe jo kisī se rahā na kaam

sar hai magar ġhurūr sāmāñ nahīñ rahā

'momin' ye lāf-e-ulfat-e-taqvā hai kyuuñ magar

dillī meñ koī dushman-e-īmāñ nahīñ rahā

Top Urdushayar.com