dafn  jab  ḳhaak  meñ  ham  soḳhta-sāmāñ  hoñge
fils  maahī  ke  gul-e-sham-e-shabistāñ  hoñge
nāvak-andāz  jidhar  dīda-e-jānāñ  hoñge
nīm-bismil  ka.ī  hoñge  ka.ī  be-jāñ  hoñge
tāb-e-nazzāra  nahīñ  aa.ina  kyā  dekhne  duuñ
aur  ban  jā.eñge  tasvīr  jo  hairāñ  hoñge
tū  kahāñ  jā.egī  kuchh  apnā  Thikāna  kar  le
ham  to  kal  ḳhvāb-e-adam  meñ  shab-e-hijrāñ  hoñge
nāsehā  dil  meñ  tū  itnā  to  samajh  apne  ki  ham
laakh  nādāñ  hue  kyā  tujh  se  bhī  nādāñ  hoñge
kar  ke  zaḳhmī  tujhe  nādim  huuñ  ye  mumkin  hī  nahīñ
gar  vo  hoñge  bhī  to  be-vaqt  pashemāñ  hoñge
ek  ham  haiñ  ki  hue  aise  pashemān  ki  bas
ek  vo  haiñ  ki  jinheñ  chaah  ke  armāñ  hoñge
ham  nikāleñge  sun  ai  mauj-e-havā  bal  terā
us  kī  zulfoñ  ke  agar  baal  pareshāñ  hoñge
sabr  yā  rab  mirī  vahshat  kā  paḌegā  ki  nahīñ
chāra-farmā  bhī  kabhī  qaidi-e-zindāñ  hoñge
minnat-e-hazrat-e-īsā  na  uThā.eñge  kabhī
zindagī  ke  liye  sharminda-e-ehsāñ  hoñge
tere  dil-tafta  kī  turbat  pe  adū  jhūTā  hai
gul  na  hoñge  sharar-e-ātash-e-sozāñ  hoñge
ġhaur  se  dekhte  haiñ  tauf  ko  āhu-e-haram
kyā  kaheñ  us  ke  sag-e-kūcha  ke  qurbāñ  hoñge
dāġh-e-dil  nikleñge  turbat  se  mirī  juuñ  laala
ye  vo  aḳhgar  nahīñ  jo  ḳhaak  meñ  pinhāñ  hoñge
chaak  parde  se  ye  ġhamze  haiñ  to  ai  parda-nashīñ
ek  maiñ  kyā  ki  sabhī  chāk-e-garebāñ  hoñge
phir  bahār  aa.ī  vahī  dasht-navardī  hogī
phir  vahī  paañv  vahī  ḳhār-e-muġhīlāñ  hoñge
sañg  aur  haath  vahī  vo  hī  sar  o  dāġh-e-junūn
vo  hī  ham  hoñge  vahī  dasht  o  bayābāñ  hoñge
umr  saarī  to  kaTī  ishq-e-butāñ  meñ  'momin'
āḳhirī  vaqt  meñ  kyā  ḳhaak  musalmāñ  hoñge