jaltā  huuñ  hijr-e-shāhid  o  yād-e-sharāb  meñ
shauq-e-savāb  ne  mujhe  Daalā  azaab  meñ
kahte  haiñ  tum  ko  hosh  nahīñ  iztirāb  meñ
saare  gile  tamām  hue  ik  javāb  meñ
phailī  shamīm-e-yār  mire  ashk-e-surḳh  se
dil  ko  ġhazab  fishār  huā  pech-o-tāb  meñ
chīn-e-jabīñ  ko  dekh  ke  dil  basta-tar  huā
kaisī  kushūd-e-kār  kushād-e-naqāb  meñ
ham  kuchh  to  bad  the  jab  na  kiyā  yaar  ne  pasand
ai  hasrat  is  qadar  ġhalatī  intiḳhāb  meñ
rahte  haiñ  jamā  kūcha-e-jānāñ  meñ  ḳhaas  o  aam
ābād  ek  ghar  hai  jahān-e-ḳharāb  meñ
aañkh  us  kī  phir  ga.ī  thī  dil  apnā  bhī  phir  gayā
ye  aur  inqilāb  huā  inqilāb  meñ
badnām  mere  girya-e-rusvā  se  ho  chuke
ab  uzr  kyā  rahā  nigah-e-be-hijāb  meñ
matlab  kī  justujū  ne  ye  kyā  haal  kar  diyā
hasrat  bhī  ab  nahīñ  dil-e-nākām-yāb  meñ
goyā  ki  ro  rahā  huuñ  raqīboñ  kī  jaan  ko
ātish  zabāna-zan  huī  tūfān-e-āb  meñ
nākāmiyoñ  se  kaam  rahā  umr  bhar  hameñ
piirī  meñ  yaas  hai  jo  havas  thī  shabāb  meñ
hai  iḳhtiyār-e-yār  meñ  suud  o  ziyāñ  magar
fāzil  the  ham  jahāñ  se  qazā  ke  hisāb  meñ
nāseh  hai  aib-jū  o  dil-āzār  is  qadar
goyā  savāb  hai  suḳhan-e-nā-savāb  meñ
donoñ  kā  ek  haal  hai  ye  mudda.ā  ho  kaash
vo  hī  ḳhat  us  ne  bhej  diyā  kyuuñ  javāb  meñ
taqdīr  bhī  burī  mirī  taqrīr  bhī  burī
bigḌe  vo  pursish-e-sabab-e-ijtināb  meñ
kyā  jalve  yaad  aa.e  ki  apnī  ḳhabar  nahīñ
be-bāda  mast  huuñ  maiñ  shab-e-māhtāb  meñ
hai  minnatoñ  kā  vaqt  shikāyat  rahī  rahī
aa.e  to  haiñ  manāne  ko  vo  par  itaab  meñ
terī  jafā  na  ho  to  hai  sab  dushmanoñ  se  amn
badmast  ġhair  mahv  dil  aur  baḳht  ḳhvāb  meñ
paiham  sujūd  pā-e-sanam  par  dam-e-vidā
'momin'  ḳhudā  ko  bhuul  ga.e  iztirāb  meñ