kartā  hai  qatl-e-ām  vo  aġhyār  ke  liye
das  biis  roz  marte  haiñ  do-chār  ke  liye
dekhā  azāb-e-ranj  dil-e-zār  ke  liye
āshiq  hue  haiñ  vo  mire  āzār  ke  liye
dil  ishq  tere  nazr  kiyā  jaan  kyūñki  duuñ
rakkhā  hai  us  ko  hasrat-e-dīdār  ke  liye
qatl  us  ne  jurm-e-sabr-e-jafā  par  kiyā  mujhe
ye  hī  sazā  thī  aise  gunahgār  ke  liye
le  tū  hī  bhej  de  koī  paiġhām-e-talḳh  ab
ye  tajvīz  zahr  hai  tire  bīmār  ke  liye
aatā  nahīñ  hai  tū  to  nishānī  hī  bhej  de
taskīn-e-iztirāb-e-dil-e-zār  ke  liye
kyā  dil  diyā  thā  is  liye  maiñ  ne  tumheñ  ki  tum
ho  jaao  yuuñ  udū  mire  aġhyār  ke  liye
chalnā  to  dekhnā  ki  qayāmat  ne  bhī  qadam
tarz-e-ḳhirām  o  shoḳhi-e-raftār  ke  liye
jī  meñ  hai  motiyoñ  kī  laḌī  us  ko  bhej  duuñ
iz.hār-e-hāl-e-chashm-e-guhar-bār  ke  liye
detā  huuñ  apne  lab  ko  bhī  gul-barg  se  misāl
bose  jo  ḳhvāb  meñ  tire  ruḳhsār  ke  liye
jiinā  ummīd-e-vasl  pe  hijrāñ  meñ  sahl  thā
martā  huuñ  zindagāni-e-dushvār  ke  liye
'momin'  ko  to  na  laa.e  kahīñ  daam  meñ  vo  but
DhūñDe  hai  tār-e-sub.ha  ke  zunnār  ke  liye