Momin Khan Momin

gar ghair ke ghar se na dil-aram nikalta

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
gar ġhair ke ghar se na dil-ārām nikaltā
dam kaahe ko yuuñ ai dil-e-nākām nikaltā
maiñ vahm se martā huuñ vahāñ ro.ab se us ke
qāsid kī zabāñ se nahīñ paiġhām nikaltā
karte jo mujhe yaad shab-e-vasl adū tum
kyā sub.h ki ḳhurshed na tā-shām nikaltā
jab jānte tāsīr ki dushman bhī vahāñ se
apnī tarah ai gardish-e-ayyām nikaltā
har ek se us bazm meñ shab pūchhte the naam
thā lutf jo koī mirā hamnām nikaltā
kyuuñ kaam talab hai mire āzār se gardūñ
nākām se dekhā hai kahīñ kaam nikaltā
thī nauha-zanī dil kī janāze pe zarūrī
shāyad ki vo ghabrā ke sar-e-bām nikaltā
kāñTā sā khaTaktā hai kaleje meñ ġham-e-hijr
ye ḳhaar nahīñ dil se gul-andām nikaltā
hūreñ nahīñ 'momin' ke nasīboñ meñ jo hoeñ
but-ḳhāne hī se kyuuñ ye bad-anjām nikaltā
Top Urdushayar.com