gar  ġhair  ke  ghar  se  na  dil-ārām  nikaltā
dam  kaahe  ko  yuuñ  ai  dil-e-nākām  nikaltā
maiñ  vahm  se  martā  huuñ  vahāñ  ro.ab  se  us  ke
qāsid  kī  zabāñ  se  nahīñ  paiġhām  nikaltā
karte  jo  mujhe  yaad  shab-e-vasl  adū  tum
kyā  sub.h  ki  ḳhurshed  na  tā-shām  nikaltā
jab  jānte  tāsīr  ki  dushman  bhī  vahāñ  se
apnī  tarah  ai  gardish-e-ayyām  nikaltā
har  ek  se  us  bazm  meñ  shab  pūchhte  the  naam
thā  lutf  jo  koī  mirā  hamnām  nikaltā
kyuuñ  kaam  talab  hai  mire  āzār  se  gardūñ
nākām  se  dekhā  hai  kahīñ  kaam  nikaltā
thī  nauha-zanī  dil  kī  janāze  pe  zarūrī
shāyad  ki  vo  ghabrā  ke  sar-e-bām  nikaltā
kāñTā  sā  khaTaktā  hai  kaleje  meñ  ġham-e-hijr
ye  ḳhaar  nahīñ  dil  se  gul-andām  nikaltā
hūreñ  nahīñ  'momin'  ke  nasīboñ  meñ  jo  hoeñ
but-ḳhāne  hī  se  kyuuñ  ye  bad-anjām  nikaltā