Momin Khan Momin

tum bhi rahne lage KHafa sahab

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852

tum bhī rahne lage ḳhafā sāhab

kahīñ saaya mirā paḌā sāhab

hai ye banda bevafā sāhab

ġhair aur tum bhale bhalā sāhab

kyuuñ ulajhte ho jumbish-e-lab se

ḳhair hai maiñ ne kyā kiyā sāhab

kyuuñ lage dene ḳhatt-e-āzādī

kuchh gunah bhī ġhulām sāhab

haa.e chheḌ raat sun sun ke

haal merā kahā ki kyā sāhab

dam-e-āḳhir bhī tum nahīñ aate

bandagī ab ki maiñ chalā sāhab

sitam āzār zulm o jaur o jafā

jo kiyā so bhalā kiyā sāhab

kis se bigḌe the kis pe ġhussa thā

raat tum kis pe the ḳhafā sāhab

kis ko dete the gāliyāñ lākhoñ

kis shab zikr-e-ḳhair thā sāhab

nām-e-ishq-e-butāñ na lo 'momin'

kījiye bas ḳhudā ḳhudā sāhab

Top Urdushayar.com