Momin Khan Momin

qahr hai maut hai qaza hai ishq

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852

qahr hai maut hai qazā hai ishq

sach to yuuñ hai burī balā hai ishq

asar-e-ġham zarā batā denā

vo bahut pūchhte haiñ kyā hai ishq

āfat-e-jāñ hai koī parda-nashīñ

ki mire dil meñ aa chhupā hai ishq

bul-havas aur lāf-e-jāñ-bāzī

khel kaisā samajh liyā hai ishq

vasl meñ ehtimāl-e-shādi-e-marg

chārāgar dard-e-be-davā hai ishq

sūjhe kyūñkar fareb-e-dildārī

dushman-āshnā-numā hai ishq

kis malāhat-sirisht ko chāhā

talḳh-kāmī pe bā-mazā hai ishq

ham ko tarjīh tum pe hai yaanī

dilrubā husn o jāñ-rubā hai ishq

dekh hālat mirī kaheñ kāfir

naam dozaḳh kyuuñ dharā hai ishq

dekhiye kis jagah Dubo degā

merī kashtī nāḳhudā hai ishq

ab to dil ishq mazā chakkhā

ham na kahte the kyuuñ burā hai ishq

aap mujh se nibāheñge sach hai

bā-vafā husn o bevafā hai ishq

maiñ vo majnūn-e-vahshat-ārā huuñ

naam se mere bhāgtā hai ishq

qais o farhād o vāmiq o 'momin'

mar ga.e sab kyā vabā hai ishq

Top Urdushayar.com