dīda-e-hairāñ  ne  tamāshā  kiyā
der  talak  vo  mujhe  dekhā  kiyā
zabt-e-fuġhāñ  go  ki  asar  thā  kiyā
hausla  kyā  kyā  na  kiyā  kyā  kiyā
aañkh  na  lagne  se  shab  ahbāb  ne
aañkh  ke  lag  jaane  kā  charchā  kiyā
mar  ga.e  us  ke  lab-e-jāñ-baḳhsh  par
ham  ne  ilaaj  aap  hī  apnā  kiyā
bujh  ga.ī  ik  aah  meñ  sham-e-hayāt
mujh  ko  dam-e-sard  ne  ThanDā  kiyā
ġhair  ayādat  se  burā  mānte
qatl  kiyā  aan  ke  achchhā  kiyā
un  se  parī-vash  ko  na  dekhe  koī
mujh  ko  mirī  sharm  ne  rusvā  kiyā
zindagī-e-hijr  bhī  ik  maut  thī
marg  ne  kyā  kār-e-masīhā  kiyā
paan  meñ  ye  rañg  kahāñ  aap  ne
aap  mire  ḳhuun  kā  da.avā  kiyā
jaur  kā  shikva  na  karūñ  zulm  hai
raaz  mirā  sabr  ne  ifshā  kiyā
kuchh  bhī  ban  aatī  nahīñ  kyā  kījiye
us  ke  bigaḌne  ne  kuchh  aisā  kiyā
jaa.e  thī  terī  mire  dil  meñ  so  hai
ġhair  se  kyuuñ  shikva-e-bejā  kiyā
rahm  falak  aur  mire  haal  par
tū  ne  karam  ai  sitam-ārā  kiyā
sach  hī  sahī  aap  kā  paimāñ  vale
marg  ne  kab  vāda-e-fardā  kiyā
da.ava-e-taklīf  se  jallād  ne
roz-e-jazā  qatl  phir  apnā  kiyā
marg  ne  hijrāñ  meñ  chhupāyā  hai  muñh
lo  muñh  usī  parda-nashīñ  kā  kiyā
dushman-e-'momin'  hī  rahe  but  sadā
mujh  se  mire  naam  ne  ye  kyā  kiyā