Jafar Raza

harim-e-zat ke parde mein justuju yaran

Jafar Raza

1939

harīm-e-zāt ke parde meñ justujū yārāñ

zahe-nasīb mujhe merī aarzū yārāñ

havas ko ishq batā kar tahī-kadū yārāñ

mai-e-ayāġh se chhalkā ga.e lahū yārāñ

shabāb hai mire saaqī āftāb lau

badan hai saaz meñ dīpak ik numū yārāñ

isī gunah ne malā.ek pe fauqiyat baḳhshī

yahī gunah bashariyyat aabrū yārāñ

kabhī ḳhizāñ meñ kabhī ḳhār-o-ḳhas ke parde meñ

chaman meñ bikhre haiñ har-samt rañg-o-bū yārāñ

jise maiñ ḳhud se bhī kahne taab na sakā

vo ek baat kahī un ke rū-ba-rū yārāñ

vahī to jām-e-shifā hai balā-kashoñ ke liye

vo ik nigāh jo phirtī hai chār-sū yārāñ

usī ḳhalish ne use ḳhud-kushī pe uksāyā

ki ek shaḳhs se miltā hai hū-ba-hū yārāñ

zamāna badlā hai rañg-e-chaman bhī badlegā

chīnār ab nazar aate haiñ sho.ala-rū yārāñ

Top Urdushayar.com