kashmakash  meñ  haiñ  tirī  zulfoñ  ke  zindānī  hanūz
tīrgī  paiham  hai  ḳham-dar-ḳham  pareshānī  hanūz
rakhte  haiñ  ham  maqsad-e-tāmīr-e-nau  pesh-e-nazar
garche  haiñ  min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī  hanūz
sat.h-e-dariyā  par  sukūñ  sā  hai  magar  ai  sat.h-bīiñ
qa.ar-o-dariyā  meñ  vahī  maujeñ  haiñ  tūfānī  hanūz
ab  junūñ  meñ  bhī  nahīñ  aatā  hai  sahrā  kā  ḳhayāl
shahr-e-hikmat  meñ  hai  vahshat-ḳhez  vīrānī  hanūz
pursish-e-ahl-e-qalam  ho  yā  na  ho  hotī  to  hai
sañg-e-marmar  ke  mazāroñ  par  gul-afshānī  hanūz
ham  ne  rakh  dī  qālib-e-ash.ār  meñ  chīz-e-digar
tum  nahīñ  kar  paa.e  takmīl-e-zabāñ-dānī  hanūz
'ashk'  usūl-e-kasb-e-zar  se  tū  nahīñ  hai  āshnā
tishna-e-takmīl  hai  terī  hama-dānī  hanūz