kāġhaz  pe  terā  naqsh  utārā  nahīñ  gayā
mujh  se  koī  ḳhayāl  sañvārā  nahīñ  gayā
mil  ke  lagā  hai  aaj  zamāne  Thahar  ga.e
tujh  se  bichhaḌ  ke  vaqt  guzārā  nahīñ  gayā
tūfān  meñ  bhī  Duub  na  paa.ī  mirī  anā
Duubā  magar  kisī  ko  pukārā  nahīñ  gayā
ḳhushiyoñ  ke  qahqahe  haiñ  har  ik  samt  gūñjte
lagtā  hai  koī  shahr  meñ  maarā  nahīñ  gayā
insān  vahshiyoñ  kī  tarah  haiñ  ki  aaj  tak
mafhūm  zindagī  kā  ubhārā  nahīñ  gayā
ārā.ish-e-jamāl  kisī  kaam  kī  nahīñ
rū-e-amal  ko  jab  ki  nikhārā  nahīñ  gayā