Wali Alam Shaheen

apna chhoDa hua ghar yaad aaya

Wali Alam Shaheen

apnā chhoḌā huā ghar yaad aayā

ḳhuld meñ ḳhuld-nazar yaad aayā

kitnī sadiyoñ thakan hai jaañ par

ek lamhe safar yaad aayā

jis ke saa.e ne jalāyā mujh ko

phir vo sarsabz shajar yaad aayā

haath meñ chāñd miTTī le kar

kitne firqoñ safar yaad aayā

ham hue apnī nazar meñ jhūTe

us paimān-e-nazar yaad aayā

us se ab ḳhvāb rishta bhī ġhalat

sar jhaTak de vo agar yaad aayā

kyā na sābit thī mirī ḳhush-hunarī

kyuuñ tirā husn-e-nazar yaad aayā

phir rag-o-pai fazā hai bojhal

phir bagūloñ safar yaad aayā

muddatoñ jis parastish thī

phir vo ābād khañDar yaad aayā

the unhī āñkhoñ meñ sapne kitne

apnā āġhāz-e-safar yaad aayā

raat yuuñ ghaas ḳhushbū lipTī

niiñd aa.ī na ghar yaad aayā

jam ga.e miil ke patthar tarah

kyā sar-e-rāhguzar yaad aayā

phir hai 'shāhīn' ġhazal rāz-e-chaman

phir koī soḳhta-par yaad aayā

Top Urdushayar.com