Wali Alam Shaheen

safar hai KHatm magar be-ghari na jaegi

Wali Alam Shaheen

safar hai ḳhatm magar be-gharī na jā.egī

hamāre ghar se ye paiġhambarī na jā.egī

nazar gañvā bhī chuke tujh ko dekhne vaale

ufuq ufuq tirī jalva-garī na jā.egī

maiñ apne ḳhvāb tarāshūñ inheñ bikherūñ bhī

mirī sarisht se ye āzarī na jā.egī

hasīñ hai shīsha-o-āhan imtizāj magar

tirī siyāsat-e-āhan-garī na jā.egī

maiñ sab ke zaḳhm chunūñ phir unheñ zabāneñ duuñ

balā se dil mire abtarī na jā.egī

agarche sard bahut hai dayār-e-qutub-e-shumāl

suḳhan-varoñ suḳhan-parvarī na jā.egī

Top Urdushayar.com