jab  os  buuñd  buuñd  girī  sā.ebān  se
ḳhushbū  sī  ik  uḌī  mire  kachche  makān  se
tū  sāhiloñ  pe  jis  kā  nishāñ  DhūñDhtā  phirā
rishta  to  us  ne  joḌ  liyā  bādbān  se
nā-qadrī-e-hunar  kī  mujhe  taab  hī  na  thī
maiñ  ne  ḳhud  apnī  jins  uThā  lī  dukān  se
thī  us  kī  hī  lahū  kī  sadā  jo  palaT  ga.ī
us  ne  to  jhāñk  kar  bhī  na  dekhā  makān  se
bikhrī  huī  thiiñ  chāroñ  taraf  nā-rasā.iyāñ
vo  pāTne  chalā  thā  ḳhalā  ko  uḌaan  se
kyā  kyā  huiiñ  qubūl  duā.eñ  us  ek  shab
phir  ek  phuul  bhī  na  girā  āsmān  se
garmī  meñ  Tin  kī  chhat  ne  jalāyā  kuchh  aur  bhī
jaaḌe  meñ  barf  sar  pe  girī  sā.ebān  se
rezoñ  meñ  baT  gayā  huuñ  maiñ  'shāhīn'  har  taraf
pahchān  le  mujhe  mire  bikhre  nishān  se