Shamim Hanafi

wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
vo ek shor sā zindāñ meñ raat bhar kyā thā
mujhe ḳhud apne badan meñ kisī kā Dar kyā thā
koī tamīz na kī ḳhuun kī sharārat ne
ik abr o baad kā tūfāñ thā dasht o dar kyā thā
zamīñ pe kuchh to milā chand uljhaneñ hī sahī
koī na jaan sakā āsmān par kyā thā
mire zavāl kā har rañg tujh meñ shāmil hai
tū aaj tak mirī hālat se be-ḳhabar kyā thā
ab aisī fasl meñ shāḳh o samar pe baar na ban
ye bhuul jā ki pas-e-sāya-e-shajar kyā thā
chaTaḳhtī girtī huī chhat ujaaḌ darvāze
ik aise ghar ke sivā hāsil-e-safar kyā thā
Top Urdushayar.com