tilism  hai  ki  tamāshā  hai  kā.enāt  us  kī
charāġh-e-hijr  se  raushan  rahegī  raat  us  kī
zamīn  ho  ki  zamāñ  sab  usī  ke  mohre  haiñ
bichhī  huī  hai  bahut  duur  tak  bisāt  us  kī
hamāre  saath  bhī  hote  haiñ  tajrabe  us  ke
hamāre  haal  meñ  shāmil  hai  vārdāt  us  kī
shikast  o  fat.h  meñ  kyā  farq  hai  nahīñ  ma.alūm
ye  kyā  ki  jiit  hamārī  hai  aur  maat  us  kī
use  ḳhamosh  bhī  rahnā  thā  ek  pal  ke  liye
samajh  sakā  na  koī  anjuman  meñ  baat  us  kī
idhar  ye  niiñd  udhar  jāgte  hue  saa.e
ajiib  silsila-e-ḳhvāb  hai  hayāt  us  kī