Aleem Afsar

karna paDa tha jis ke liye ye safar mujhe

Aleem Afsar

karnā paḌā thā jis ke liye ye safar mujhe
vo mauj-e-shauq chhoḌ ga.ī ret par mujhe
ādāb-e-bazm ke sivā kuchh aur to na thā
mahfil meñ us ne paan diye ḳhaas kar mujhe
lauTā huuñ phir vo jism kī vīrāniyāñ liye
hasrat se dekhte haiñ ye dīvār-o-dar mujhe
bāzār kā to hosh hai lekin nahīñ ye yaad
kal raat kaun chhoḌ gayā mere ghar mujhe
ā.ankhoñ kā nuur siine meñ mahfūz kar liyā
is shahr meñ jo honā paḌā be-basar mujhe
is ke sivā ye raaz bhalā kaun jāntā
vo sab ko gāliyoñ se navāze magar mujhe
Top Urdushayar.com