Jawed Manzar

baghair samt hua hun main dar-ba-dar kaisa

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948

baġhair samt huā huuñ maiñ dar-ba-dar kaisā

mujhe bhī ḳhvāb dikhā.ī diyā magar kaisā

ḳhayāl ḳhātir-e-abr-e-bahār kar na sake

ḳhizāñ ne luuT liyā ab ke ghar ghar kaisā

na vo hurūf meñ ḳhushbū na vo suḳhan miThās

badal diyā hai zamāne ne ham-safar kaisā

ham ahal-e-ḳhair nikal aa.e kis ḳharābe meñ

nizām-e-shar meñ banā.eñ ab apnā ghar kaisā

maiñ apne aap apnā vajūd bech aayā

mujhe rakhā mire apnoñ ne be-ḳhabar kaisā

ham apne ghar meñ haiñ zinda misāl shabnam-e-gul

banā hai partav-e-ḳhur ye hisār-e-dar kaisā

gayā jo de ke aziyyat-shanāsā.iyāñ 'manzar'

milā dobāra to aayā tumheñ nazar kaisā

Top Urdushayar.com