Zafar Iqbal

chamakti wusaton mein jo gul-e-sahra khila hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

chamaktī vus.atoñ meñ jo gul-e-sahrā khilā hai

koī kah de agar pahle kabhī aisā khilā hai

azal se gulshan-e-hastī meñ hai maujūd bhī vo

magar lagtā hai jaise aaj taaza khilā hai

baham kaise hue haiñ dekhnā ḳhvāb aur ḳhushbū

guzarte mausamoñ āḳhirī tohfa khilā hai

lahū meñ ik alag andāz se mastūr thā vo

sar-e-shāḳh-e-tamāshā aur bhī tanhā khilā hai

kahāñ ḳhāk-e-madīna aur kahāñ ḳhākistar-e-dil

kahāñ phuul thā lekin kahāñ par aa khilā hai

kabhī dil par girī thī shabnam-e-ism-e-mohammad

mirī har saañs meñ kaliyoñ majmua khilā hai

yahī rauzan banegā ek din dīvār-e-jāñ meñ

mire dil meñ nidāmat jo ik lamha khilā hai

yahīñ tak laa.ī hai ye zindagī bhar masāfat

lab-e-dariyā huuñ maiñ aur vo pas-e-dariyā khilā hai

bikhartā rahā hai duur tak rañg-e-judā.ī

'zafar' kyā pūchhte ho zaḳhm-e-dil kaisā khilā hai

Top Urdushayar.com