Zafar Iqbal

uTh aur phir se rawana ho Dar ziyaada nahin

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

uTh aur phir se ravāna ho Dar ziyāda nahīñ

bahut kaThin sahī manzil safar ziyāda nahīñ

bayāñ meñ apne sadāqat hai kamī varna

ye raaz kyā hai ki is par asar ziyāda nahīñ

mujhe ḳharāb kiyā us ne haañ kiyā hogā

usī se pūchhiye mujh ko ḳhabar ziyāda nahīñ

sunā hai vo mire baare meñ sochtā hai bahut

ḳhabar to hai magar mo'atabar ziyāda nahīñ

ye justujū to rahe kaun hai vo kaisā hai

surāġh kuchh to malegā agar ziyāda nahīñ

abhī ravāna huuñ yaksūī se maiñ dasht-ba-dasht

ki rahguzār-e-safar meñ shajar ziyāda nahīñ

jabhī to ḳhār-e-dil-e-dostāñ nahīñ huuñ abhī

ki aib mujh meñ bahut haiñ hunar ziyāda nahīñ

dinoñ baat hai ab kīmiyā-garī apnī

ki rah ga.ī hai zarā kasar ziyāda nahīñ

'zafar' ham aap ko gumrāh to nahīñ kahte

yahī ki haiñ bhī agar raah par ziyāda nahīñ

Top Urdushayar.com