Zafar Iqbal

hawa badal gai us bewafa ke hone se

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

havā badal ga.ī us bevafā ke hone se

vagarna ḳhalq to ḳhush thī ḳhudā ke hone se

ḳhabar nahīñ mujhe matlūb aur kyā hai ki maiñ

zyāda ḳhush nahīñ arz o samā ke hone se

hamesha bar-sar-e-paikār huuñ kahīñ na kahīñ

mujhe ilāqa nahīñ bach-bachā ke hone se

ye shola dil se alag ho ke bhī nikal aayā

kuchh aag phail ga.ī hai havā ke hone se

ye shahr kuchh bhī mazāfāt ke baġhair nahīñ

vajūd asl meñ hai māvarā ke hone se

judā.ī chhoḌtī rahtī hai vasl ḳhushbū

maiñ zinda rahtā huuñ aksar qazā ke hone se

maiñ purza purza paḌā huuñ jahāñ-tahāñ har samt

ḳhafā sabhī haiñ mire jā-ba-jā ke hone se

zarūrateñ mirī ho nahīñ rahīñ puurī

rukā hai qāfila ik be-navā ke hone se

jo rah ga.ī hai ye ek aañch kasar to 'zafar'

vo zar-garī thī kisī kīmiyā ke hone se

Top Urdushayar.com