khīñch  laa.ī  hai  yahāñ  lazzat-e-āzār  mujhe
jahāñ  paanī  na  mile  aaj  vahāñ  maar  mujhe
dhuup  zālim  hī  sahī  jism  tavānā  hai  abhī
yaad  aa.egā  kabhī  sāya-e-ashjār  mujhe
sāl-hā-sāl  se  ḳhāmosh  the  gahre  paanī
ab  nazar  aa.e  haiñ  āvāz  ke  āsār  mujhe
baaġh  kī  qabr  pe  rote  hue  dekhā  thā  jise
nazar  aayā  vahī  saaya  sar-e-dīvār  mujhe
gir  ke  sad  paara  huā  abr  meñ  aTkā  huā  chāñd
sar  pe  chādar  sī  nazar  aa.ī  shab-e-tār  mujhe
saañs  meñ  thā  kisī  jalte  hue  jañgal  kā  dhuāñ
sair-e-gulzār  dikhāte  rahe  bekār  mujhe
raat  ke  dasht  meñ  TuuTī  thī  havā  kī  zanjīr
sub.h  mahsūs  huī  ret  kī  jhankār  mujhe
vahī  jaama  ki  mire  tan  pe  na  Thiik  aatā  thā
vahī  in.aam  milā  āqibat-e-kār  mujhe
jab  se  dekhā  hai  'zafar'  ḳhvāb-e-shabistān-e-ḳhayāl
bistar-e-ḳhāk  pe  sonā  huā  dushvār  mujhe