yaqīñ  kī  ḳhaak  uḌāte  gumāñ  banāte  haiñ
magar  ye  turfa  imārat  kahāñ  banāte  haiñ
lagā  rahe  haiñ  na.e  zā.eqoñ  ke  zaḳhm  abhī
asās-e-fikr  na  tarz-e-bayāñ  banāte  haiñ
qarīb-o-dūr  se  bejoḌ  aks  ashiyā  ke
talāsh  karte  haiñ  aur  dāstāñ  banāte  haiñ
ki  mil  sake  na  hamārā  surāġh  ham  ko  bhī
binā-e-abr-o-havā  par  makāñ  banāte  haiñ
purāne  zulm  meñ  lazzat  nahīñ  hamāre  liye
ham  apne  sar  pe  nayā  āsmāñ  banāte  haiñ
nahīñ  nasīb  meñ  marnā  savād-e-sāhil  par
jo  Dūbne  ke  liye  kashtiyāñ  banāte  haiñ
falak  pe  DhūñDte  haiñ  gard-e-rañg-e-rafta-e-dil
zamīñ  pe  shām-e-talab  kā  nishāñ  banāte  haiñ
vo  jis  kī  lai  pe  laraztā  hai  barg  barg  badan
us  ek  rañg  se  naqsh-e-ḳhizāñ  banāte  haiñ
'zafar'  ye  vaqt  hī  batlā.egā  ki  āḳhir  ham
bigāḌte  haiñ  zabāñ  yā  zabāñ  banāte  haiñ