Zafar Iqbal

tere labon pe agar surKHi-e-wafa hi nahin

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

tire laboñ pe agar surḳhi-e-vafā nahīñ

to ye banāo ye saj dhaj tujhe ravā nahīñ

maiñ terī ruuh pattī tarah kaañp gayā

havā-e-sub.h-e-subuk-gām ko patā nahīñ

kisī umiid ke phūloñ bhare shabistāñ se

jo aañkh mal ke uThā huuñ to vo huā nahīñ

farāz-e-shām se girtā rahā fasāna-e-shab

gadā-e-gauhar-e-guftār ne sunā nahīñ

chamak rahā hai mirī zindagī har lamha

maiñ kyā karūñ ki mirī aañkh meñ ziyā nahīñ

Top Urdushayar.com