Zafar Iqbal

chamke ga abhi mere KHayalat se aage

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

chamke abhī mere ḳhayālāt se aage

vo naqsh ki thā dāġh-e-mulāqāt se aage

lagtā hai ki mushkil hai abhī din nikalnā

hai raat koī aur bhī is raat se aage

is vahm se vāpas nahīñ palTā huuñ ki hogā

kuchh aur bhī is ḳhvāb-e-tilismāt se aage

ārām se pīchhe vo haTā detā hai mujh ko

baḌhtā huuñ agar us hidāyāt se aage

daurān-e-safar kartā huuñ ārām bhī lekin

hotā huuñ Thaharne ke maqāmāt se aage

uqda isī ḳhātir koī hotā nahīñ hal

haiñ saare savālāt javābāt se aage

āgāh kiyā hai to hue aur bhī ġhāfil

vāqif jo nahīñ the mire hālāt se aage

ho saktā hai kyā koī bhalā un ke barābar

rahte haiñ jo ḳhud apne bayānāt se aage

itnā bhī bahut hai jo 'zafar' qahat-e-navā meñ

niklī hai koī baat mirī baat se aage

Top Urdushayar.com