Zafar Iqbal

phir koi shakl nazar aane lagi pani par

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

phir koī shakl nazar aane lagī paanī par

saḳht mushkil meñ huuñ is tarha āsānī par

us ko parvā nahīñ hai ki vo kis haal meñ hai

maiñ mahjūb huā ḳhvāb uryānī par

kartā rahtā huuñ maiñ us but parastish hamā-vaqt

phir bhī shak hai use is jazba-e-īmānī par

ik sadā hai kahīñ rātoñ meñ safar kartī huī

ik havā hai kahīñ aa.ī huī jaulānī par

koī ruktā huā dariyā mire qadmoñ meñ kahīñ

koī jhuktā huā sūraj mirī peshānī par

vahī mānūs thapeḌe the mire chāroñ taraf

mujhe hairat na huī dhuup tābānī par

vāpsī par jo lage haiñ mujhe apne jaise

ḳhush huā huuñ dar-o-dīvār vīrānī par

ek din sub.h jo uTTheñ to ye duniyā na ho

hai madār ab kisī aisī ḳhush-imkānī par

sher hote haiñ 'zafar' lutf-e-suḳhan se ḳhālī

daad miltī hai mujhe ab to ḳhush-alhānī par

Top Urdushayar.com