Zafar Iqbal

usi se aae hain aashob aasman wale

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

usī se aa.e haiñ āshob āsmāñ vaale

jise ġhubār samajhte the kārvāñ vaale

maiñ apnī dhun meñ yahāñ āñdhiyāñ uThātā huuñ

magar kahāñ vo maze ḳhāk-e-āshiyāñ vaale

mujhe diyā na kabhī mere dushmanoñ patā

mujhe havā se laḌāte rahe jahāñ vaale

mire sarāb-e-tamannā pe rashk thā jin ko

bane haiñ aaj vahī bahr-e-be-karāñ vaale

maiñ naala huuñ mujhe apne laboñ se duur na rakh

mujhī se zinda hai mere jism-o-jāñ vaale

ye musht-e-ḳhāk 'zafar' merā pairahan hai

mujhe zamīñ se Darā.eñ na kahkashāñ vaale

Top Urdushayar.com