Jawed Manzar

bu-e-gul khinche na gulshan mein gul-e-tar khinche

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948

bū-e-gul khīñche na gulshan meñ gul-e-tar khīñche

shauq-e-dīdār tirā ham ko hai dar dar khīñche

mujhe chāhe magar maiñ tujhe chāhūñ kaise

baat jab hai mirā dil bhī tirā paikar khīñche

maiñ ki manzil talabgār na samtoñ asiir

ki dariyā jise har lamha samundar khīñche

jabr ke saath ibādat meñ mazā kyā hogā

shauq se laakh hameñ masjid-o-mimbar khīñche

kab rahī terī tamannā dam-e-ruḳhsat mujh ko

koī bhī ruuh ko is jism se bāhar khīñche

ek pal meñ simaT jaa.e safar sadiyoñ

yuuñ nigāhoñ meñ qayāmat vo manzar khīñche

Top Urdushayar.com