Zafar Iqbal

thakna bhi lazmi tha kuchh kaam karte karte

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
thaknā bhī lāzmī thā kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayā huuñ ārām karte karte
andar sab aa gayā hai bāhar kā bhī añdherā
ḳhud raat ho gayā huuñ maiñ shaam karte karte
ye umr thī hī aisī jaisī guzār dī hai
badnām hote hote badnām karte karte
phañstā nahīñ parinda hai bhī isī fazā meñ
tañg aa gayā huuñ dil ko yuuñ daam karte karte
kuchh be-ḳhabar nahīñ the jo jānte haiñ mujh ko
maiñ kuuch kar rahā thā bisrām karte karte
sar se guzar gayā hai paanī to zor kartā
sab rok rukte rukte sab thaam karte karte
kis ke tavāf meñ the aur ye din aa ga.e haiñ
kyā ḳhaak thī ki jis ko ehrām karte karte
jis moḌ se chale the pahuñche haiñ phir vahīñ par
ik rā.egāñ safar ko anjām karte karte
āḳhir 'zafar' huā huuñ manzar se ḳhud hī ġhā.eb
uslūb-e-ḳhās apnā maiñ aam karte karte
Top Urdushayar.com