ḳhunuk  havā  kā  ye  jhoñkā  sharār  kaise  huā
ye  merā  shahr  dukhoñ  kā  dayār  kaise  huā
bujhe  bujhe  the  bahut  naqsh  jab  ki  mausam  ke
lahū  ke  rañg  kā  un  pe  nikhār  kaise  huā
banā  huuñ  jis  se  ḳhatā-kār  sab  kī  ā.ankhoñ  meñ
vo  jurm  mujh  se  batā  baar  baar  kaise  huā
milā  na  jis  ko  bulāvā  kabhī  samundar  kā
vo  shaḳhs  mauj-e-balā  kā  shikār  kaise  huā
ba-shakl-e-umr  milī  bhiik  jis  se  lamhoñ  kī
vo  vaqt  mere  liye  be-kanār  kaise  huā
vo  jism  jis  pe  bahut  naaz  thā  tujhe  'fikrī'
vo  jism  dasht-e-fanā  kā  ġhubār  kaise  huā