Zahid Farani

tira-o-tar zaminon ke ujale dariya

Zahid Farani

tīra-o-tār zamīnoñ ke ujāle dariyā

ham ne sahrāoñ ke siine se nikāle dariyā

vādiyāñ aa.eñ to ārām se so jaate haiñ

fāsloñ se na kabhī hārne vaale dariyā

chāhte the ki phireñ rū-e-zamīñ par har

ban ga.e raah meñ ġhāroñ ke nivāle dariyā

tujh se chhuTne pe tire dhyān āġhosh milī

kar gayā mujh ko samundar ke havāle dariyā

ai zamīñ suukh rahe haiñ tire pyāse jañgal

kyā hue haiñ tirī āġhosh ke paale dariyā

kis tarah dard tūfāñ mire siine meñ thame

kis tarah apnī ravānī ko sambhāle dariyā

Top Urdushayar.com