Noor Mohammad Noor

hamin hain jinhen ishq hai bankpan se

Noor Mohammad Noor

Moradabad, Uttar pradesh, India

1930

hamīñ haiñ jinheñ ishq hai bāñkpan se

hamīñ haiñ jo uljheñ haiñ dār-o-rasan se

kisī jism husn hai pairahan se

kahīñ pairahan ḳhud sajā hai badan se

ye maanā hai jannat bahut ḳhūbsūrat

magar ḳhūbsūrat na hogī vatan se

guloñ ne churāyā tirā husn-e-rañgīñ

mo.attar fazā hai tire pairahan se

na tesha na sar kaam aayā vafā meñ

sadā aa rahī hai ye jū-e-laban se

taḌap kar na mar jaa.e bulbul qafas meñ

na le jaa.e gul koī gulchīñ chaman se

raqīboñ se sargarm hai un mahfil

faqat 'nūr' hai duur us anjuman se

Top Urdushayar.com