Ahmad Shanas

hai wahimon ka tamasha yahan wahan dekho

Ahmad Shanas

hai vāhimoñ kā tamāshā yahāñ vahāñ dekho
hamāre paas mukammal ḳhudā kahāñ dekho
dil-o-dimāġh ke andar anā kī guuñj suno
balā sī koī lahū meñ ravāñ-davāñ dekho
nafas kā saañp kahāñ zer hone vaalā hai
phir is ke ba.ad koī aur imtihāñ dekho
ab apne ghar ke liye ik na.ī zamīñ socho
zamīñ ke sar pe koī taaza āsmāñ dekho
is ik savāl ke kitne azaab jhel chukā
kuchh aur dard banū aur imtihāñ dekho
guzar ke jaanā hai vahshat ke ek dariyā se
yaqīñ na ho to yahāñ rāsta kahāñ dekho
kahāñ se aa.egī ab raushnī mohabbat kī
bahut dhuāñ hai makānoñ ke darmiyāñ dekho
maiñ be-yaqīn huuñ aisā ki mere hāthoñ meñ
tamām āyateñ sūraj kī rā.egāñ dekho
phaTā huā kisī uryāñ savāl jaisā hai
hamāre sar pe ye rahmat kā sā.ebāñ dekho
nishān ret ke aa.e haiñ mere hisse meñ
nikal gayā hai bahut duur kārvāñ dekho
masīh maut kā paiġhām le ke aayā hai
ab aur kaun bachā.egā merī jaañ dekho
mire hurūf adhūrī uḌaan jaise haiñ
mirā shu.ūr ma.ānī kā āsmāñ dekho
vo ek lamha hayāt-āshnā likho 'ahmad'
vagarna saarī kahānī hī rā.egāñ dekho
Top Urdushayar.com