Ahmad Shanas

lamha lamha roz o shab ko der hoti jaegi

Ahmad Shanas

lamha lamha roz o shab ko der hotī jā.egī
ye safar aisā hai sab ko der hotī jā.egī
sabz lamhoñ ko ugāne kā hunar bhī sīkhnā
varna is rañg-e-talab ko der hotī jā.egī
is havā meñ aadmī patthar kā hotā jā.egā
aur rone ke sabab ko der hotī jā.egī
dekhnā terā havāla kuchh se kuchh ho jā.egā
dekhnā sher o adab ko der hotī jā.egī
rafta rafta jism kī parteñ utartī jā.eñgī
kāġhzī naam o nasab ko der hotī jā.egī
aam ho jā.egā kāġhaz ke gulāboñ kā chalan
aur ḳhushbū ke sabab ko der hotī jā.egī
saarā manzar hī badal jā.egā 'ahmad' dekhnā
mausam-e-ruḳhsār-o-lab ko der hotī jā.egī
Top Urdushayar.com