Ahmad Shanas

meri raaton ka safar tur nahin ho sakta

Ahmad Shanas

merī rātoñ kā safar tuur nahīñ ho saktā
tū na chāhe to bayāñ nuur nahīñ ho saktā
maiñ ne hijrat ke ka.ī daur kaḌe dekhe haiñ
maiñ kitāboñ se kabhī duur nahīñ ho saktā
merī fitrat ki maiñ khil jaatā huuñ be-mausam bhī
merī aadat ki maiñ majbūr nahīñ ho saktā
tū ne kis shauq se likkhā hai ta.āruf merā
maiñ kisī lafz meñ mahsūr nahīñ ho saktā
mere andar bhī tire naam kī chiñgārī hai
tū mire vāste kyuuñ tuur nahīñ ho saktā
jo yahāñ lafz kī sarhad ke udhar rahtā hai
bastiyoñ meñ kabhī mash.hūr nahīñ ho saktā
zinda insāñ use ābād kiyā karte haiñ
ghar kisī ḳhvāb se ma.amūr nahīñ ho saktā
ghar ke bāhar sabhī lafzoñ ke tamāshā.ī haiñ
ghar ke andar koī masrūr nahīñ ho saktā
jism ke saare taqāze haiñ adhūre 'ahmad'
ye tasavvur kabhī bharpūr nahīñ ho saktā
Top Urdushayar.com