Shamim Qasmi

faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae

Shamim Qasmi

Bihar, India

1954

fazā-e-nam meñ sadāoñ shor ho jaa.e

vo muskurā de zarā to bhor ho jaa.e

kabhī jo utrūñ maiñ raqs-e-suḳhan ke sahrā meñ

to apnā haal bhī mānind-e-mor ho jaa.e

vo mai-kade se bhī nikle to pāk-bāz rahe

maiñ us āñkhoñ se luuñ to shor ho jaa.e

nazar meñ phuul ho kāġhaz pe ek sahrā ho

to yuuñ ġhazal koī or-chhor ho jaa.e

jo fe.al-e-asl ko maiñ nazm karne baiThūñ to

badan se lahr uThe por por ho jaa.e

har ek raat vahī Dish ho zā.iqa bhī vahī

to phir mizāj-e-tarah-dār bor ho jaa.e

ye shāmiyāna suḳhan qarār-e-jāñ Thahrā

yahāñ qayām kare jo paTor ho jaa.e

murāqiba meñ koī aage chham se itrā.e

to phir faqīr ke dil meñ bhī chor ho jaa.e

magar ye dil ki kisī aur nahīñ rakhtā

dimāġh kahtā hai merī aur ho jaa.e

vo ik badan ki jo sar-chashma-e-tasavvur ho

to pā-barahna safar meñ bhī zor ho jaa.e

jo sun le 'qāsmī' terī ġhazal to patthar bhī

majāl hai ki vo itnā kaThor ho jaa.e

Top Urdushayar.com