vo  kyuuñ  na  rūThtā  maiñ  ne  bhī  to  ḳhatā  kī  thī
bahut  ḳhayāl  rakhā  thā  bahut  vafā  kī  thī
sunā  hai  in  dinoñ  ham-rañg  haiñ  bahār  aur  aag
ye  aag  phuul  ho  maiñ  ne  bahut  duā  kī  thī
nahīñ  thā  qurb  meñ  bhī  kuchh  magar  ye  dil  mirā  dil
mujhe  na  chhoḌ  bahut  maiñ  na  iltijā  kī  thī
safar  meñ  kashmakash-e-marg-o-zīst  ke  daurān
na  jaane  kis  ne  mujhe  zindagī  atā  kī  thī
samajh  sakā  na  koī  bhī  mirī  zarūrat  ko
ye  aur  baat  ki  ik  ḳhalq  ishtirākī  thī
ye  ibtidā  thī  ki  maiñ  ne  use  pukārā  thā
vo  aa  gayā  thā  'zafar'  us  ne  intihā  kī  thī