dhīre  dhīre  shaam  kā  ā.ankhoñ  meñ  har  manzar  bujhā
ik  diyā  raushan  huā  to  ik  diyā  andar  bujhā
vo  to  raushan  qumqumoñ  ke  shahr  meñ  mahsūr  thā
saḳht  hairat  hai  ki  aisā  aadmī  kyuuñ  kar  bujhā
is  siyah-ḳhāne  meñ  tujh  ko  jāgnā  hai  raat  bhar
in  sitāroñ  ko  na  be-maqsad  hathelī  par  bujhā
zehn  kī  āvārgī  ko  bhī  panāheñ  chāhiye
yuuñ  na  sham.oñ  ko  kisī  dahlīz  par  rakh  kar  bujhā
aur  bhī  ghar  the  havā  kī  zad  pe  bastī  meñ  'shafaq'
mere  hī  ghar  kā  diyā  tūfān  meñ  akasr  bujhā