Aziz Badayuni

baqa sadaf ki guhar ke siwa kuchh aur nahin

Aziz Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1929

baqā sadaf guhar ke sivā kuchh aur nahīñ

vafā shu.ūr-e-bashar ke sivā kuchh aur nahīñ

ġhalat ġhalat ki mohabbat fareb-e-hastī hai

ye rabt-e-ḳhās asar ke sivā kuchh aur nahīñ

shuā-e-mehr-e-munavvar maiñ māh-e-tābāñ maiñ

kisī pahlī nazar ke sivā kuchh aur nahīñ

abhī junūñ ko guzarnā hai shāh-rāhoñ se

junūñ had tire dar ke sivā kuchh aur nahīñ

vo shām-e-ġham jo tirī zindagī hāsil hai

vo shaam nūr-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ

yahī nizām-e-jahāñ hai yahī hai rāz-e-baqā

samar hayāt-e-shajar ke sivā kuchh aur nahīñ

tujhe ḳhirad se hai nisbat hameñ 'azīz' junūñ

ba-qadr-e-zarf nazar ke sivā kuchh aur nahīñ

Top Urdushayar.com