phūloñ  ko  vaise  bhī  murjhānā  hai  murjhā.eñge
khiḌkiyāñ  kholīñ  to  sannāTe  chale  ā.eñge
laakh  ham  ujlī  rakheñ  shahr  kī  dīvāroñ  ko
shahr-nāme  to  bahar-hāl  likkhe  jā.eñge
raakh  rah  jā.egī  rūdād  sunāne  ke  liye
ye  to  mehmān  parinde  haiñ  chale  jā.eñge
apnī  laġhzish  ko  to  ilzām  na  degā  koī
log  thak-hār  ke  mujrim  hameñ  Thahrā.eñge
aaj  jin  jag.hoñ  kī  tafrīh  se  mahfūz  huuñ  maiñ
mere  hālāt  mujhe  kal  vahāñ  pahuñchā.eñge
rāste  shaam  ko  ghar  le  ke  nahīñ  lauTeñge
ham  tabarruk  kī  tarah  rāhoñ  meñ  baT  jā.eñge
din  kisī  tarah  se  kaT  jā.egā  saḌkoñ  pe  'shafaq'
shaam  phir  aa.egī  ham  shaam  se  ghabrā.eñge