din  ko  the  ham  ik  tasavvur  raat  ko  ik  ḳhvāb  the
ham  samundar  ho  ke  bhī  is  ke  liye  pāyāb  the
sard  se  marmar  pe  shab  ko  jo  ubhāre  the  nuqūsh
sub.h  ko  dekhā  to  sab  aks-e-hunar  nāyāb  the
vo  ilāqe  zindagī-bhar  jo  namī  māñgā  kiye
kal  ghaTā.eñ  chhā.īñ  to  dekhā  ki  zer-e-āb  the
ik  kiran  bhī  ahd  meñ  un  ke  na  bhūle  se  milī
din  ke  jo  sūraj  the  apne  raat  ke  mahtāb  the
aaj  un  peḌoñ  pe  sūraj  kī  kiran  ruktī  nahīñ
kal  yahī  the  bār-āvar  kal  yahī  shādāb  the
ab  khulā  ki  būñdiyāñ  motī  haiñ  Dhaltī  thiiñ  kahāñ
ham  jo  Duube  haath  apne  gauhar-e-nāyāb  the
koī  apnī  bhī  haqīqat  mil  ke  dariyā  se  'shafaq'
chhoTe  chhoTe  apne  naale  kis  qadar  betāb  the