pau  phaTī  ek  taaza  kahānī  milī
ḳhairiyat  us  kī  din  kī  zabānī  milī
koī  rāhat  na  ham  ko  zamīnī  milī
jo  bhī  sauġhāt  thī  āsmānī  milī
qaid-e-dīvār-o-dar  se  jo  mahfūz  hai
aise  ghar  kī  hameñ  pāsbānī  milī
koī  pattā  na  khaḌkā  kahīñ  rāt-bhar
har  taraf  ḳhauf  kī  hukmarānī  milī
aur  bhī  log  the  shahr-e-bīmār  meñ
ik  hamīñ  ko  magar  tarjumānī  milī