chhāñv  kī  shakl  dhuup  kī  rañgat  badal  ga.ī
ab  ke  vo  lū  chalī  hai  ki  sūrat  badal  ga.ī
hañsnā  hañsānā  apnā  mashīnī  amal  huā
badlī  havā-e-shahr  to  aadat  badal  ga.ī
achchhā  sā  suiT  jism  par  apne  sajā  ke  vo
ḳhush  hai  ki  jaise  ghar  kī  bhī  hālat  badal  ga.ī
sar  ko  chhupāyā  paañv  bhī  khulne  nahīñ  diyā
ḳhvāhish  baḌhī  to  apnī  zarūrat  badal  ga.ī
nazzāra-e-nigāh  hai  ye  jaltā-bujhtā  din
kuchh  ġham  nahīñ  jo  raat  kī  dāvat  badal  ga.ī
ab  guftugū  meñ  beach  se  ġhā.eb  hai  aadmī
ham  tak  to  aate  aate  rivāyat  badal  ga.ī