is  arsa-e-mahshar  se  guzar  kyuuñ  nahīñ  jaate
jiine  kī  tamannā  hai  to  mar  kyuuñ  nahīñ  jaate
ai  shahr-e-ḳharābāt  ke  āshufta-mizājoñ
jab  TuuT  chuke  ho  to  bikhar  kyuuñ  nahīñ  jaate
is  dard  kī  shiddat  bhī  numū-ḳhez  bahut  hai
jo  zaḳhm  haiñ  siine  meñ  vo  bhar  kyuuñ  nahīñ  jaate
ham  mo.atakif-e-dasht-e-aziyyat  to  nahīñ  haiñ
pairoñ  se  masāfat  ke  bhañvar  kyuuñ  nahīñ  jaate
jab  aa.e  haiñ  maqtal  meñ  to  kyā  lauT  ke  jaanā
ab  apne  lahū  meñ  hī  nikhar  kyuuñ  nahīñ  jaate
jab  Duub  ke  marnā  hai  to  kyā  soch  rahe  ho
in  jhiil  sī  āñkhoñ  meñ  utar  kyuuñ  nahīñ  jaate
ye  bhī  koī  zid  hai  ki  ye  'shāhid'  kī  anā  hai
jaate  haiñ  jidhar  log  udhar  kyuuñ  nahīñ  jaate