Shahid Kamal

phir aaj dard se raushan hua hai sina-e-KHwab

Shahid Kamal

Ambedkar Nagar, Uttar pradesh, India

1982

phir aaj dard se raushan huā hai sīna-e-ḳhvāb

sajā huā hai mire zaḳhm se madīna-e-ḳhvāb

ḳhizāñ fasl meñ jo rizq-e-vahshat-e-shab thā

luTā rahā huuñ sar-e-shab vahī ḳhazīna-e-ḳhvāb

musāfirān-e-shab-e-ġham tumhārī ḳhair to hai

taḌaḳh ke TuuT gayā kyuuñ mirā nagīna-e-ḳhvāb

haqīqatoñ ke bhañvar se koī nikāle phir

ravāñ kare mirī jānib koī safīna-e-ḳhvāb

banā diyā tirī sohbat ne be-adab in ko

koī sikhā.e in āñkhoñ ko ab qarīna-e-ḳhvāb

koī to ho ki jo mujh ko fareb-e-paiham de

vo koī husn-e-haqīqat ho hasīna-e-ḳhvāb

ye aañkh hai hama-dam gardish-e-tajassus meñ

talāsh kartī hai mujh meñ koī dafīna-e-ḳhvāb

fishār-e-nīm-shabī se ab in dinoñ 'shāhid'

hai chaak chaak mirī jaañ qabā-e-sīna-e-ḳhvāb

Top Urdushayar.com