Rajinder Manchanda Bani

qadam zamin pe na the rah hum badalte kya

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981

qadam zamīñ pe na the raah ham badalte kyā

havā bañdhī thī yahāñ piiTh par sambhalte kyā

phir us ke hāthoñ hameñ apnā qatl bhī thā qubūl

ki aa chuke the qarīb itne bach nikalte kyā

yahī samajh ke vahāñ se maiñ ho liyā ruḳhsat

vo chalte saath magar duur tak to chalte kyā

tamām shahr thā ik mom ajā.ib-ghar

chaḌhā jo din to ye manzar na phir pighalte kyā

vo āsmāñ the ki āñkheñ sameTtīñ kaise

vo ḳhvāb the ki mirī zindagī meñ Dhalte kyā

nibāhane use bhī thī aarzū to bahut

havā tez thī itnī charāġh jalte kyā

uThe aur uTh ke use sunāyā dukh apnā

ki saarī raat paḌe karvaTeñ badalte kyā

na ābrū-e-ta.alluq jab rahī 'bānī'

baġhair baat kiye ham vahāñ se Talte kyā

Top Urdushayar.com