Rajinder Manchanda Bani

silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981
silsila raushan tajassus kā udhar merā bhī hai
ai sitāro us ḳhalā meñ ik safar merā bhī hai
chaar jānib khīñch diiñ us ne lakīreñ aag kī
maiñ ki chillāyā bahut bastī meñ ghar merā bhī hai
jaane kis kā kyā chhupā hai us dhueñ kī saf ke paar
ek lamhe kā ufuq ummīd bhar merā bhī hai
raah āsāñ dekh kar sab ḳhush the phir maiñ ne kahā
soch liije ek andāz-e-nazar merā bhī hai
ab nahīñ hai us kī khiḌkī ke tanāzur meñ bhī chāñd
ek pur-asrār mausam se guzar merā bhī hai
ye bisāt-e-ārzū hai is ko yuuñ āsāñ na khel
mujh se vābasta bahut kuchh daav par merā bhī hai
jiine marne kā junūñ dil ko huā 'bānī' bahut
āsmāñ ik chāhiye mujh ko ki sar merā bhī hai
Top Urdushayar.com