Rajinder Manchanda Bani

chamakti aankh mein sahra dikhai saf deta hai

Rajinder Manchanda Bani

Multan, Punjab, Pakistan

1932-1981

chamaktī aañkh meñ sahrā dikhā.ī saaf detā hai

mire lahje meñ sannāTā sunā.ī saaf detā hai

maiñ ik asrār-e-mātam laakh ḳhud meñ gum huā jā.ūñ

magar siina kisī shai duhā.ī saaf detā hai

vo kyā kyā baat kartā hai na ik pal bhī bichhaḌne

magar lahja ki ehsās-e-judā.ī saaf detā hai

safeñ yuuñ to muqābil dushmanoñ haiñ magar un meñ

ajab ik mehrbāñ chehra dikhā.ī saaf detā hai

maiñ aa pahuñchā huuñ ai 'bānī' ajab andhī jagah maanā

hai ab bhī ek rasta jo sujhā.ī saaf detā hai

Top Urdushayar.com